na kar talash-e-asar tir hai laga na laga jo apne bas ka nahin us ka aasra na laga hayat lazzat-e-azar ka hai dusra nam namak chhidak to chhidak zakhm par dawa na laga mere khayal ki duniya mein is jahan se dur ye baithe baithe hua gum ki phir pata na laga khushi ye dil ki hai is mein nahin hai aql ko dakhl bura wo kahte rahe aur kuchh bura na laga chamak se barq ki kam-tar hai waqfa-e-didar nazar hati ki use hath ek bahana laga meri talash thi tashwish-e-dida-e-be-nur wo milte kya mujhe apna hi jab pata na laga