ba-rang-e-sher gire aur bar bar gire

ba-rang-e-sher gire aur bar bar gire
hamare zehn pe kirnon ke aabshaar gire

ghamon ki rah mein sabit-qadam hain diwane
bisat-e-aish pe kitne nashat-e-kar gire

chaman khula to nai nikhaton ke aanchal par
shaguft-e-gul se tere aks be-shumar gire

zamin chand ka tukda hai jis ki zulmat par
kai ujale har ek shab sitara-war gire

hamein bhi fursat-e-yak-khwab us faza mein jahan
kiran kiran lab-o-rukhsar ki phuwar gire

ubhar raha hai jo mashriq ke har kharabe se
kise khabar ki kahan ja ke ye ghubar gire


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close