hum apne zehn par pahle use tari karenge phir is ke baad apne qalb ko jari karenge hum apne zahir o baatin ka andaza laga len phir us ke samne jaane ki tayyari karenge mohabbat hum se us ko ho gai to thik warna hum apni sakh rakhne ko adakari karenge ab aisi muflisi mein kya kahin ho aana-jaana magar kab tak hum us se uzr-e-bimari karenge mere kis kaam ke hain ab ye kawwe aur kabutar abas barbaad ghar ki chaar-diwari karenge bahut achchha teri qurbat mein guzra aaj ka din bas ab ghar jaenge aur kal ki tayyari karenge yahan ab log 'mohsin' zindagi karte kahan hain zara se dukh mein roenge aza-dari karenge