ba-roz-e-hashr mera ehtisab kya hoga ki is zamin ke siwa aur azab kya hoga mudam fikr mein be-aql ka tasalsul-e-kar kitab-e-zist ka aainda bab kya hoga jawan dilon mein faqat nafraten hi milti hain ziyaada is se koi inqalab kya hoga ata kiya mah-e-kaamil ko ishraton ka ghurur andheri raat se badh kar azab kya hoga tilism-e-kaif-o-nazar muddaa-e-be-khabari tilism-e-hosh-o-khirad ka nisab kya hoga gunahgar nazar bhi hai dil ki dhadkan bhi wo puchh lenge to mera jawab kya hoga ba-faiz-e-jurat-e-rindana dekhna to 'anis' ada-shanason ka tujh par itab kya hoga