fareb-e-zat ke dilkash buton ko kis ne yun toDa

fareb-e-zat ke dilkash buton ko kis ne yun toda
hamin the jis ne hasti ke haqaeq se na munh moda

dar-e-hasrat ye kya takta hai ai dil nau-ba-nau jalwe
kisi ki sarfaraazi dekh kar kariye na dil thoda

ye gham kya kam hai ai hamdam ki basti ke ghazalon ko
abhi dasht-e-taghaful ki tamanna ne nahin chhoda

nai diwar utha kar hum ye samjhe dil badal dale
magar buniyaad ke patthar ne wo rishta nahin toda

muqaddar se shikayat kab talak kariye 'anis' aakhir
tumhein pas-e-takalluf ne kisi qabil nahin chhoda


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close