ba-sath-e-ab koi aks-e-na-tawan na pada hawa guzar bhi gai aur kahin nishan na pada bade sukun se dekha hai jalte lamhon ko hamari aankh mein warna dhuan kahan na pada kathin bhi aisa na tha meri teri sulh ka kaam koi bhi shakhs mere tere darmiyan na pada hue hain khak khamoshi ke dasht mein kho kar hamare kan mein hi shor-karwan na pada bala ki dhup hai 'jafar' kisi ko hosh nahin pada hai abr ka saya kahan kahan na pada