arz-o-sama pe rang tha kaisa utar gaya aandhi chali to sham ka chehra utar gaya tufan ki zad na shor-e-talatum mujhe batao main mauj mein nahin hun ki dariya utar gaya kya kya rahi kanar-e-mohabbat ki dhun mujhe jin paniyon mein us ne utara utar gaya ek kashmakash mein ab hain samundar pade hue sahra ki tah mein phir koi pyasa utar gaya bikhra pada hai khak pe yun chandni ka jism jaise meri hi ruh mein tesha utar gaya 'jafar' kabhi na ye mere wahm-o-guman mein tha main aur us ke dhyan se aisa utar gaya