ba-wasf-e-shauq bhi dil ka kaha nahin karte farogh-e-qamat-o-rukh ki sana nahin karte shikast-e-ahd-e-sitam par yaqin rakhte hain hum intiha-e-sitam ka gila nahin karte kuchh is tarah se luti hai mata-e-dida-o-dil ki ab kisi se bhi zikr-e-wafa nahin karte isi liye hain sazawar-e-jaur-e-barq-e-sitam ki haqq-e-khidmat-e-gulchin ada nahin karte mazaq-e-kohkani ho ki dasht-paimai jinhen tumhaari talab ho wo kya nahin karte wo aashna-e-gham-e-kainat kya honge jo khud ko aap ka dard-ashna nahin karte gham-e-habib gham-e-zindagi gham-e-dauran kisi maqam pe hum ji bura nahin karte