aankhen banata dasht ki wusat ko dekhta hairat banane wale ki hairat ko dekhta hota na koi kar-e-zamana mere supurd bas apne karobar-e-mohabbat ko dekhta kar ke nagar nagar ka safar is zamin par logon ki bud-o-bash o riwayat ko dekhta aata agar khayal shajar chhanw mein nahin ghar se nikal ke dhup ki hiddat ko dekhta yun lag raha tha main koi sahra ka ped hun us sham to agar meri haalat ko dekhta 'ahmad' wo izn-e-did jo deta to ek sham khud par guzarne wali aziyyat ko dekhta