ba-zahir dekhte hain to ziyaada kaam karta hun magar haq baat kuchh yun hai ki thoda kaam karta hun ab aage khud samajh jao main kaisa kaam karta hun jo koi bhi nahin karta hai waisa kaam karta hun mohabbat mein mujhe baaten banana to nahin aata kabhi mauqa mile mujh ko to sidha kaam karta hun karana chahta hun is tarah apna hi koi kaam yahan har waqt jo main ye tumhaara kaam karta hun nai hai peshkash aur phir kiya hai nam bhi tabdil haqiqat mein magar ab bhi purana kaam karta hun wo mere sath jo karte hain waisa to nahin koi wo apna kaam karte hain main apna kaam karta hun magar ab log kahte hain bhala ye bhi hai koi kaam kabhi ye log kahte the ki achchha kaam karta hun ab aisa bhi nahin hai jo mila wo kar liya main ne mera mear hai ek aur suthra kaam karta hun unhen wo chhod dete hain jo kuchh bhi to nahin karte main phans jata hun 'gul' utna hi jitna kaam karta hun