ye zaruri nahin hai jahan dekhna

ye zaruri nahin hai jahan dekhna
wo jidhar ko chale bas wahan dekhna

un ki qismat mein thi aisi manzar-kashi
pankhudi se labon par dhuan dekhna

koi aata nahin koi jata nahin
aisa sunsan koi nishan dekhna

ped ne apne phal ko sikhaya nahin
dusron ke gharon mein aman dekhna

le gaya jo bichhad ke mila tha abhi
aise aalam mein dil ka saman dekhna

umr kahti hai chhodo bura ye chalan
chalte-phirte nazar se jawan dekhna

main tarasta raha tere milne ko yar
tu kahan hai 'zamir' ab kahan dekhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close