ba-zahir to badan-bhar ka ilaqa gher rakkha hai magar andar se hum ne shahr sara gher rakkha hai main paspa fauj-e-dil ka aakhiri zakhmi sipahi hun magar ek umr se dushman ko tanha gher rakkha hai kabhi is raushni ki qaid se bahar bhi niklo tum hujum-e-husn ne sara sarapa gher rakkha hai musibat mein pada hai in dinon mera dil-e-wahshi samajh kar shahr walon ne darinda gher rakkha hai mohabbat ka khuda hun main magar aisa khuda jis ne badi mushkil se apna ek banda gher rakkha hai bahut pahle kabhi paida hue aur mar gae the hum isi mazi ne mustaqbil hamara gher rakkha hai koi iman wala ahl-e-masjid se kahe ja kar khuda ko kyun unhonne kafirana gher rakkha hai chalo hum farhat-'ehsas' apna masjid se chhuda laen khuda walon ne ek kafir hamara gher rakkha hai