dekhiye ho gai badnam masihai bhi hum na kahte the ki talti hai kahin aai bhi husn khuddar ho to bais-e-shohrat hai zarur lekin in baaton mein ho jati hai ruswai bhi sainkadon ranj o alam dard o musibat shab-e-gham kitni hangama-talab hai meri tanhai bhi tum bhi diwane ke kahne ka bura man gae hosh ki baat kahin karte hain saudai bhi baal o par dekh to lo apne asiran-e-qafas kya karoge jo gulistan mein bahaar aai bhi panw wahshat mein kahin rukte hain diwanon ke tod dalenge ye zanjir jo pahnai bhi ai mere dekhne wale teri surat pe nisar kash hoti teri taswir mein goyai bhi ai 'qamar' wo na hui dekhiye taqdir ki baat chandni raat jo qismat se kabhi aai bhi