baad-e-sarsar hai nasim-e-gulistan mere liye ban gaya kunj-e-qafas ab aashiyan mere liye zahido tum ko mubarak khana-kaba rahe kafi hai sajde ko sang-e-astan mere liye saghar-o-mina subu-o-jam ka ab zikr kya dushman-e-jaan ho gaya pir-e-mughan mere liye wah re gardun-e-gardan tera shauq-e-intizam ho gai hai zindagi bar-e-garan mere liye dard-e-dil kahne ko aaya hun sarapa dard hun ho ata kuchh waqt bahr-e-dastan mere liye hasrat-e-sozan se takti hai use barq-e-tapan shakh-e-gulshan par bana jo aashiyan mere liye