baad marne ke koi bosa-e-rukhsat dega kya khuda mujh ko bhi aisi bhali qismat dega zindagi hai ye miyan ranj-o-alam to honge jo guzarega wo lazim hai ki qimat dega farzi duniya se nikal aur haqiqat likh de sher parwaz karega tujhe izzat dega dekh mayus na ho kufr nahin kar pyare be-dili chhod khuda tujh ko bhi rahat dega kar gai umr akarat meri hae hae ek ghalat-fahmi ki tu mujh ko mohabbat dega kul mila ke hai asasa mera ye umr-e-rawan rad nahin hogi dua rab mera barakat dega main to samjha tha mohabbat ka bulawa hai 'umar' kya khabar thi wo mujhe maut ki dawat dega