giton ka shahr hai ki nagar soz-o-saz ka qalb-e-shikasta aur ye aalam gudaz ka chaaron taraf saji hain dukanen khulus ki chamka hai karobar har ek hila-saz ka wo chahe khwab ho ki haqiqat magar kabhi ehsan uthaega na libas-e-majaz ka jis tarah chaha jae hai chaha nahin abhi andesha jaan khae hai ifsha-e-raaz ka bahrupiya hai koi phire hai nagar nagar qatil ka rup dhaare kabhi chaarasaz ka yun hanste hanste dar-e-fana se chala hai wo jaise safar nasib ho arz-e-hijaz ka 'abid' ghamon ki dhup mein jalna hai chaar din bas qissa mukhtasar hai ye umr-e-daraaz ka