baad muddat ke hawa aisi chali hai yaro un ki har baat mere ji ko lagi hai yaro imtizaj aah-o-fughan nala-o-fariyaad ka hai zindagi dard ke sanche mein dhali hai yaro jazba-e-josh-e-junun ka yahi anjam to hai umr bhar mashghala-e-jama-dari hai yaro yahan har samt mere khun ki gul-kari hai ye na bhulo mere qatil ki gali hai yaro bartaraf kar diya tha us ne jahan se hum ko khak us kuche ki bhi hum ne mali hai yaro qatra-e-ashk ke asbab-o-khalal bhi na chhupe jab se rone ki ye aadat si padi hai yaro ye tamanna ki milen subh-e-qayamat mein hum badi mushkil se ek ek raat kati hai yaro fatiha ab to padho ashk baha lo tum bhi ab hamein apni qaza le ke chali hai yaro dil ki dhadkan bhi 'shafaq' tez hui jati hai un ke qadmon ki jo aahat si suni hai yaro