bana gaya hai bayaban ka baghban mujh ko rula gaya hai sitam-zarf aasman mujh ko mile hain ashk-e-rawan nala-o-fughan fariyaad diya hai hae ye sab tu ne mehrban mujh ko diya hai tum ne hi ilzam bewafai ka sitam hai tum ne hi samjha hai bad-guman mujh ko main mit gaya bhi to mera wajud qaem hai na samjhe phir koi be-nam-o-be-nishan mujh ko na jaane kaun si shai se chhua gaya hun main ki dhundhti hi rahi gard-e-karwan mujh ko qafas nasib hun tanhai hai andhera hai har ek samt nazar aae hai dhuan mujh ko fana ki zad se hun bahar ye jaanta hun main hayat mil gai hai jab ki jawedan mujh ko na jaane kyon mere naqsh-e-qadam se nafrat thi mita ke rakh diya dekha jahan-jahan mujh ko wo gulsitan ki jahan jal gaya dil-e-mahzun pukarta hai wahan apna aashiyan mujh ko bahaar aziz hai wo kahte hain magar mujh ko aziz-tar hai 'shafaq' mausam-e-khizan mujh ko