baad muddat ke mere aankh se aansu nikle khushk sahra mein jo pani gire khushbu nikle ashk sukhe hue galon pe kaji se nikle raqs karte hue sahraon mein aahu nikle tere diwane ke diwanon ke diwane hain teri kya baat karen baaton se khushbu nikle tere maikhane mein jo aaj uchhaala saghar ek qatre ke mere saikdon pahlu nikle saqiya tu ne jo kal di thi mujhe kam di thi aaj nikle to faqat le ke taraazu nikle nind se chur zamane ki darakhshan ho hayat ghar se angdaiyan leta hua gar tu nikle