jo dil ki bargah mein tajalliyan dikha gaya mere hawas-o-hosh par surur ban ke chha gaya tere baghair zindagi guzarna muhaal tha magar ye qalb-e-na-tawan ye bojh bhi utha gaya jo shakhs meri zat mein basa hua tha muddaton na jaane mujh se ruth kar wo ab kahan chala gaya phir aaj ek hawa-e-gham udas dil ko kar gai khayal teri yaad ka nazar ko phir bujha gaya kabhi qadam jo thak gae ghamon ki rahguzar mein teri nazar ka nur tha jo hausle badha gaya