baad muddat ke wo mila hai mujhe dar judai ka phir laga hai mujhe aa gaya hun main dastaras mein teri apne anjam ka pata hai mujhe kya karun ye kabhi nahin kahta jo karun us pe tokta hai mujhe tujh se mil ke main jab se aaya hun har koi mud ke dekhta hai mujhe ab talak kuchh waraq hi palte hain tujh ko ji bhar ke banchna hai mujhe thokaren jab kabhi main khata hun kaun hai wo jo thamta hai mujhe sochta hun ye soch kar main use wo bhi aise hi sochta hai mujhe main tujhe kis tarah bayan karun ye karishma to sikhna hai mujhe nind mein chal raha tha main 'niraj' tu ne aa kar jaga diya hai mujhe