aaen wo lakh dekhne walon ke samne uthti hai aankh mahr-jamalon ke samne mumkin nahin jawab teri chashm-e-mast ka ye faisla hua hai ghazalon ke samne tanha na ek hazrat-e-musa ko ghash hua thahra hai kaun barq-jamalon ke samne ho jae husn ko na kisi ki nazar kahin achchhe nahin hain dekhne walon ke samne duniya mein nek-o-bad to koi chiz hi nahin hona hai sab ko apne khayalon ke samne