baada hi kahe hai na wo paimana kahe hai jo baat teri nargis-e-mastana kahe hai hasti ka bharam pyar ka nazrana kahe hai kya kya na gham-e-ishq ko diwana kahe hai ye shahr-e-tamanna hai har ek chehra yahan ka sang-e-sitam-o-jaur ka afsana kahe hai guzra hai koi qafila-e-baad-e-bahaari mahki hui khak-e-rah-e-virana kahe hai kya baat hai diwane ke andaz-e-nazar ki har chiz ko aks-e-rukh-e-jaanana kahe hai kahte hain ki 'nazim' rawish-e-am se hat kar is husn-e-jahan-tab ka afsana kahe hai