baada-masti aa karamat ho ke maikhane mein aa chal pari shishe se ud kar mere paimane mein aa dusra aisa kahan ai dasht khalwat ka maqam apni virani ko le kar mere virane mein aa wahshat-e-dil ki nahin tadbir juz afsurdagi tangi-e-zindan kisi pahlu se diwane mein aa kar murattab kuchh nae andaz se apna bayan marne wale zindagi chahe to afsane mein aa chal nikal jaen idhar se apni duniya ki taraf han tu ai tar-e-nafas tasbih ke dane mein aa pel zor aape se bahar ho ke jaega kahan aadmi ban aadmi aa apne paimane mein aa daman-e-fanus mein ai shama khud-dari nahin kiswat-e-namus agar chahe to parwane mein aa khatm karna chahta hun pech-o-tab-e-zindagi yaad-e-gesu zor-e-bazu ban mere shane mein aa ho chali hai rasm-e-ahl-e-kaba 'natiq' ab to aam barhaman bhi mujh se kahta hai ki but-khane mein aa