bazm-e-duniya jis ko kahte hain wo pagal-khana tha hum ne khud dekha hai matlab ka har ek diwana tha baghban ye chaar tinke the pade rahte kahin nakhl-e-matam par bhi kya bhaari mera kashana tha ai shab-e-hijran zyaada panw phailati hai kyun bhar gaya jitna hamari umr ka paimana tha dhundo to but bhi yahin mil jaenge mard-e-khuda hum ne dekha hai haram hi mein kahin but-khana tha kar gaya kyunkar bayan-e-dard-e-dil un par asar ye to ai 'natiq' koi afsun na tha afsana tha