baadal baras ke khul gaya rut mehrban hui budhi zamin ne tan ke kaha main jawan hui makdi ne pahle jal buna mere gird phir monis bani rafiq bani pasban hui shab ki rikab tham ke khushbu hui juda din chadhte chadhte bisri hui dastan hui karte ho ab talash sitaron ko khak par jaise zamin zamin na hui aasman hui is bar aisa qaht pada chhanw ka ki dhup har sukhte shajar ke liye saeban hui gili hawa ke lams mein kuchh tha wagarna kab kaliyon ki bas galiyon ke andar rawan hui aana hai gar to aao ki chalne lagi hawa kashti samundaron mein khula baadban hui