hazar zakhm mile phir bhi muskuraate hue guzar gaya hai koi rasta banate hue wo puchh baitha tha mujh se sabab bichhadne ka zaban kanp gai us ko sach batate hue ye kis gunah ka ehsas hai mere dil ko nigah uthti nahin raushni mein aate hue azab puchhe koi hum se kam-libasi ka tamam umr kati hai badan chhupate hue tumhaare nam ke aansu hain meri aankhon mein ye baat bhul na jaana mujhe rulate hue