baadal umde hain dhuan-dhaar ghata chhai hai dhuen tauba ke udane ko bahaar aai hai ta ki angur hare hon mere zakhm-e-dil ke dhani angiya mere dildar ne rangwai hai tira-bakhti se hui mujh ko ye khiffat hasil dil-e-wahshat mein suwaida ki jagah pai hai ye chalan hain to tumhein hashr se denge tashbih log saffak kahenge badi ruswai hai maut ko zist samajhta hun main betabi se teri furqat ne ye haalat meri pahunchai hai sabr hijran mein kare 'kaifi'-e-mahzun kab tak aakhir ai dost koi hadd-e-shakebai hai