bais koi aisa hai ki main kuchh nahin kahta warna mujhe sauda hai ki main kuchh nahin kahta ilzam ye jhuta hai ki main kuchh nahin kahta kya wo meri sunta hai ki main kuchh nahin kahta jhuta tera kahna hai ki main kuchh nahin kahta dawa mera sachcha hai ki main kuchh nahin kahta tu dekh raha hai jo mera haal hai qasid mujh ko yahi kahna hai ki main kuchh nahin kahta kahna jo na tha kah gaya dekho to dhitai aur phir kahe jata hai ki main kuchh nahin kahta wo zid pe tule baithe hain kya bahs se hasil mauqa hi ye aisa hai ki main kuchh nahin kahta thi sama-kharashi ki shikayat kabhi un ko ab sunta hun shikwa hai ki main kuchh nahin kahta bad-goi si bad-goi hai bohtan sa bohtan aur us pe wo kahta hai ki main kuchh nahin kahta main kuchh kahun to hath wo kanon pe hain dharte aur ulta ye chheda hai ki main kuchh nahin kahta aata hai jo munh par wo kahe jate hain be-rok aur us pe ye fiqra hai ki main kuchh nahin kahta main dekh chuka hun unhin kah kah ke magar kya us ka hi natija hai ki main kuchh nahin kahta main kis se kahun kya kahun sunta hai wahan kaun us ka hi ye mansha hai ki main kuchh nahin kahta ye tark-e-mohabbat nahin un se magar ai dost ranj aisa hi pahuncha hai ki main kuchh nahin kahta qainchi si chali chalti hai dekho to zaban aur us par bhi ye dawa hai ki main kuchh nahin kahta raaz un ke khule jate hain ek ek sabhon par aur us pe tamasha hai ki main kuchh nahin kahta sach baat ke sunne ki unhen tab kahan hai is se yahi achchha hai ki main kuchh nahin kahta baaten hain ki chhuriyan si chubhi jati hain dil mein mera hi kaleja hai ki main kuchh nahin kahta main kahne pe aaun to rula kar unhen chhodun mat puchh sabab kya hai ki main kuchh nahin kahta chup-chap suni an-suni kar deta hun har baat ghairon mein bhi charcha hai ki main kuchh nahin kahta nazuk hai mizaj un ka yahan sach ki hai aadat is samjhe sabab kya hai ki main kuchh nahin kahta bigda hai mizaj aur kahin tez na ho jaen mujh ko yahi sansa hai ki main kuchh nahin kahta kyun apni zaban se kahun puchho tum unhin se raaz is mein nahin ya hai ki main kuchh nahin kahta jo ranj azizon ne diye kya kahun 'kaifi' ghairat ka taqaza hai ki main kuchh nahin kahta