baadam do jo bheje hain batwe mein dal kar iman ye hai ki bhej de aankhen nikal kar dil sine mein kahan hai na tu dekh-bhaal kar ai aah kah de tir ka nama nikal kar utrega ek jam bhi pura na chaak se khak-e-dil-e-shikasta na sarf-e-kulal kar le kar buton ne jaan jab iman pe dala hath dil kya kinare ho gaya sab ko sambhaal kar taswir un ki hazrat-e-dil khinch lije gar rakh denge hum bhi panw pe aankhen nikal kar qatil hai kis maze se namak-pash-e-zakhm-e-dil bismil zara tadap ke namak to halal kar dil ko rafiq ishq mein apna samajh na 'zauq' tal jaega ye apni bala tujh pe tal kar