kaun duniya se baada-khwar utha chashm-e-tar abr-e-nau-bahaar utha kha ke ghash gir pade khade baithe baith kar is ada se yar utha aatish-e-ishq dekh kar malik al-aman al-aman pukar utha dard tazim-e-marg ko dil mein shab-e-furqat hazar bar utha jite-ji daur-e-asmani mein na zamin se ye khaksar utha abr-e-rahmat ne de diya chhinta baad marne ke jab ghubar utha wahshat-e-dil ne phir nikale panw phir tahammul ka ikhtiyar utha phir junun fasl-e-gul mein laya rang phir main hone ko sharmsar utha haal-e-'bimar' ja-e-riqqat hai marham-e-dil ka e'tibar utha chor zakhm-e-jigar mein baith gaya chaaragar ho ke sharmsar utha