baadban kholegi aur band-e-qaba le jaegi raat phir aaegi phir sab kuchh baha le jaegi khwab jitne dekhne hain aaj sare dekh len kya bharosa kal kahan pagal hawa le jaegi ye andhere hain ghanimat koi rasta dhund lo subh ki pahli kiran aankhen utha le jaegi hosh-mandon se bhare hain shahr aur jangal sabhi sath kis kis ko bhala kali ghata le jaegi jagte manzar chhaten dalan aangan khidkiyan ab ke phere mein hawa ye bhi uda le jaegi ek ek kar ke sabhi sathi purane kho gae jo bacha hai wo nigah-e-surma-sa le jaegi jate jate dekh lena gardish-e-lail-o-nahaar zindagi se bankpan lutf-e-khata le jaegi