farhad kis ummid pe lata hai ju-e-shir wan khun ki hawas hai nahin aarzu-e-shir hai us jawan ki baat mein ab to lahu ki bas we din gae ki aati thi us munh se bu-e-shir hote hi subh aah gaya mah-e-chaar-dah sabit hua mujhe ki namak hai adu-e-shir hasrat hi dil mein kohkan aakhir ye le gaya shirin ne apni aankhon bhi dekha na ru-e-shir us dudh ka khuda kare kasa hamein nasib jannat mein panj-tan ki jo bahti hai ju-e-shir aashiq hain apne khun-e-jigar-khwar zahr-nosh raghbat taraf shakar ke hai un ko na su-e-shir jin ko baghair sai wo shirin-dahan mile kho den na koh wo na karen justuju-e-shir milte hi us se dil ki girah mere khul gai uqde shakar ke jaise khulen ru-ba-ru-e-shir phir dudh ki budhape mein aawe na munh se bas aakhir kahan talak ye 'bayan' guftugu-e-shir