baadshah-e-waqt koi aur koi majbur kyun bin gaya hai ek zamane ka yahi dastur kyun hai baqa ke sath to nam-e-fana bhi lazmi aap itni be-sabaati par hue maghrur kyun dhup mein pani mein sardi mein hawa ke sath sath jaan apni de raha hai aaj bhi mazdur kyun ye to duniya hai na badli hai na badlegi kabhi ghaur karne ke liye phir aap hain majbur kyun apni shohrat ke liye us ne to kuchh socha nahin ho gai lekin 'wasiyya' ki ghazal mashhur kyun