dil soya hua tha muddat se ye kaisi bashaarat jagi hai is bar lahu mein khwab nahin tabir ki lazzat jati hai is bar nazar ke aangan mein jo phul khila khush-rang laga is bar basarat ke dil mein nadida basirat jagi hai ek baam-e-sukhan par hum ne bhi kuchh kahne ki khwahish ki thi ek umr ke baad hamare liye ab ja ke samaat jagi hai ek dast-e-dua ki narmi se ek chashm-e-talab ki surkhi tak ahwal barabar hone mein ek nasl ki wahshat jagi hai ai tana-zanon do chaar baras tum bol liye ab dekhte jao shamshir-e-sukhan kis hath mein hai kis khun mein hiddat jagi hai