baadshahi ho ki daryuza-gari ka mausam bhulta hi nahin wo ham-safari ka mausam khetiyan chhaalon ki hoti thin lahu ugte the kitna zarkhez tha wo dar-badari ka mausam hirz-e-jaan thahre jo sahra mein thikana mil jae bastiyon mein to hai aashufta-sari ka mausam aao zakhmon se phir ek bar lipat kar ro len warna aane ko hai ab bakhiya-gari ka mausam roz-e-awwal se hai chhaya hua mujh par ab tak kirchiyan hone ka shaqq-ul-bashari ka mausam ab kabhi laut kar aaega na shayad 'ajiz' dub kar pine ka daman ki tari ka mausam