chhut gain nabzen ruki sansen nazar pathra gai maut kyun kahiye use bimar ko nind aa gai dar-haqiqat aap the ya aap ka aks-e-jamil waqai meri nazar kya aaj dhoka kha gai main ne chaha tha ki phulon se basa lun pairahan bu-e-gul bhi mere daman se magar katra gai hum ko tark-e-arzu ka aaj ye hasil mila aarzu ka nam le kar aarzu sharma gai baj utha saz-e-tarab aur jal uthe dil ke charagh ittifaqan bhi agar un se nazar takra gai ban gai wajh-e-farogh-e-anjuman sham-e-hayat zindagi thi aap ki aur aap ke kaam aa gai us nigah-e-multafit ka mujh se phirna tha 'jalil' aarzuon ke gulistan mein khizan si chha gai