baal bikhere aaj pari turbat par mere aaegi maut bhi meri ek tamasha aalam ko dikhlaegi mahw-e-ada ho jaunga gar wasl mein wo sharmaegi bar-e-khudaya dil ki hasrat kaise phir bar aaegi kahida aisa hun main bhi dhunda kare na paegi meri khatir maut bhi meri barson sar takraegi ishq-e-butan mein jab dil uljha din kahan islam kahan waiz kali zulf ki ulfat sab ko ram banaegi changa hoga jab na mariz-e-kakul-e-shab-gun hazrat se aap ki ulfat isa ki ab azmat aaj mitaegi bahr-ayaadat bhi jo na aaenge na hamare baalin par barson mere dil ki hasrat sar par khak udaegi dekhunga mehrab-e-haram yaad aaegi abru-e-sanam mere jaane se masjid bhi but-khana ban jaegi ghafil itna husn pe ghurra dhyan kidhar hai tauba kar aakhir ek din surat ye sab mitti mein mil jaegi aarif jo hain un ke hain bas ranj o rahat ek 'rasa' jaise wo guzri hai ye bhi kisi tarah nibh jaegi