is tilsim-e-roz-o-shab se to kabhi niklo zara kam se kam wijdan ke sahra hi mein ghumo zara nam kitne hi likhe hain dil ki ek mehrab par hoga in mein hi tumhaara nam bhi dhundo zara bad-gumani ki yahi ghairon ko kafi hai saza muskura kar phir usi din ki tarah dekho zara waqt ke patthar ke niche ek daba chashma hun main aao pyaso mil ke ye patthar uthao to zara husn ek dariya hai sahra bhi hain us ki rah mein kal kahan hoga ye dariya ye bhi to socho zara do kalon ke bich mein ek aaj hun uljha hua meri is kam-fursati ke karb ko samjho zara wusat-e-kaun-o-makan bhi ab hui jati hai tang aur bhi kuchh ai junun walo abhi simto zara thak gae hoge bahut pur-pech thi chahat ki rah aao meri god mein sar rakh ke susta lo zara ek mitte lafz ke bhi kaam aa jao kabhi sang-e-dil par mitne se pahle mujhe likh lo zara hai taaqub mein 'naimi' saya sa ek roz o shab dost hi shayad ho koi mud ke to dekho zara