baal-o-par hon to faza kafi hai warna parwaz-e-ana kafi hai hum guman-gasht parindon ke liye aasman bhi ho to na-kafi hai is khudai se nahin koi gharaz hum ko bas nam-e-khuda kafi hai ye jo ek harf-e-dua hai lab par na-rasa ho ki rasa kafi hai kuchh nahin zat ke sahra mein magar muntashir hone ko ja kafi hai zard patte mein koi nuqta-e-sabz apne hone ka pata kafi hai