ajib khwahish hai shahr walon se chhup chhupa kar kitab likkhun tumhaare nam apni zindagi ki kitab ka intisab likkhun wo lamha kitna ajib tha jab hamari aankhen gale mili thin main kis tarah ab mohabbaton ki shikastagi ke azab likkhun tumhi ne mere ujad raston pe khwahishon ke diye jalae tumhi ne chaha tha khushk honton se chahaton ke gulab likkhun kabhi wo din the ki nind aankhon ki sarhadon se pare pare thi magar main ab jab bhi sona chahun tumhaari yaadon ke khwab likkhun main tanha ladki dayar-e-shab mein jalaun sach ke diye kahan tak siyahkaron ki saltanat mein main kis tarah aaftab likkhun qayaadaton ke junun mein jin ke qadam lahu se range hue hain ye mere bas mein nahin hai logo ki un ko izzat-maab likkhun yahi bahut hai ki in labon ko sada se mahrum kar ke rakh dun magar ye kaisi musalahat hai samundaron ko sarab likkhun