baam par aao kabhi mah-e-darakhshan ki tarah chhup ke kya jalna charagh-e-tah-e-daman ki tarah umr bhar wo dar-o-diwar ke paband rahe ghar se nikle hi nahin hain mere arman ki tarah ab use dekhun to pahchan bhi shayad na sakun dil mera tut gaya yar ke paiman ki tarah dasht ki rah to li aalam-e-wahshat mein magar dasht bhi nikla mere khana-e-viran ki tarah qais ko dekha tha main ne sar-e-sahra ek din sar se pa tak tha faqat dida-e-hairan ki tarah nasha-e-mai ho ki husn-e-rukh-e-jaanan 'arif' sar chadhana na kisi ko kabhi ehsan ki tarah