is daur ka har aadmi ayyar ho gaya

is daur ka har aadmi ayyar ho gaya
apna zamir bech ke sardar ho gaya

khidmat ki fikr hai na kisi ka zara khayal
khadim hamari qaum ka ghaddar ho gaya

samjho ki khauf us ko bhi chingariyon ka hai
barud ka jo mulk kharidar ho gaya

din raat lut rahi hain gharibon ki bastiyan
sargarm jab se lut ka bazar ho gaya

sar chadh ke bolta hai har ek aadmi ke wo
qabze mein jis ke aaj ka akhbar ho gaya

itni si baat par main aziyyat-nasib hun
sachchai ka zaban se izhaar ho gaya

rahbar lage hain karne yahan rahbari ka kaam
rahe har ek rasta dushwar ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close