baat bah jaane ki sun kar ashk barham ho gae ek zara koshish bhi ki to aur pur-nam ho gae ye hua mamul ki manus-e-gham dil ho gaya hum samajh baithe hamare dard kuchh kam ho gae kaifiyat izhaar-e-soz-e-dil ki kuchh aisi hui aate aate lab talak alfaz mubham ho gae waqt ki chaaragari bhi dekhiye kya khub hai gham dawa mein dhal gaya aur zakhm mahram ho gae gardishon ke abr ki ek bund tan par kya giri kal jo the shoala-sifat wo aaj shabnam ho gae the hamare khun ke qatre khak ki surat khuda tere naqsh-e-pa ko chhu kar aab-e-zamzam ho gae dushmani badhne ka yun 'nayab' gham hum ko nahin han magar afsos ye hai dost kuchh kam ho gae