baat be-shak na karen aap idhar dekhen to log kis haal mein hain ek nazar dekhen to khair hona to wahi hai jo khuda chahega phir bhi kar sakte hain hum log jo kar dekhen to tum ne dekha hai wahi khwab jo main ne dekha is ko kahte hain mohabbat ka asar dekhen to aap ishrat-kada-e-ghair ki rakhi kar ke aaen aur aa ke kabhi apna bhi ghar dekhen to khiragi aur tapish dhup ki hai baad ki baat pahle ye shab to kate log sahar dekhen to rang chehron se kai logon ke ud jaega zikr mera kabhi is bazm mein kar dekhen to main bhi phir tujh se kahunga ki baha khun baha teri jaanib wo kabhi dida-e-tar dekhen to phir wo yun auron pe tanqid ki jurat na karen apna bhi chaak-e-gareban wo magar dekhen to