yaqin ki had mein hun ya warta-e-guman mein hun mujhe khabar hai ki main hun par imtihan mein hun wo par samet ke khush hai ki pa gaya mujh ko main zakhm kha ke hun nazan ki aasman mein hun koi to tha ki jo patthar bana gaya chhu kar mujhe batao main kis shakhs ki aman mein hun hawa ki aankh se guzrun to marka thahre misal-e-tir abhi halqa-e-kaman mein hun hun muntazir kisi lams-nigah ka kab se main ek kitab ki surat kisi dukan mein hun badan hai barf magar jal raha hun lakdi sa main apne ghar mein hun ya ghair ke makan mein hun na kar talash ki sahil nahin mera maskan main har ghadi teri kashti ke baadban mein hun