baat bigdi hui bani hai abhi ek naya rabt-e-bahami hai abhi mujh ko aisa guman hota hai na-mukammal si zindagi hai abhi bawajude hazar nakaami zindagi mein hamahami hai abhi ek bijli si hai jo rah rah kar gosha-e-dil mein kaundti hai abhi shauq se aao qafile walo rah-e-manzil bula rahi hai abhi yun to tum bhi udas udas se ho aankh meri bhi shabnami hai abhi zindagi ki talash mein hun main zindagi mujh ko dhundhti hai abhi nazriya ek sa nahin rahta aql aur dil mein dushmani hai abhi khak dala kiye adu har dam phir bhi urdu mein shustagi hai abhi tum ghazal ko nikhaar lo 'gauhar' chand taron mein raushni hai abhi