hue jo qatl un ka hai wahi gham-KHwar bolega

hue jo qatl un ka hai wahi gham-khwar bolega
maze ki baat hai qatil ki jai-jai-kar bolega

tabiat ho ki niyyat ho haqiqat hogi zahir hi
teri khamoshiyon mein bhi tera kirdar bolega

sitam-gar ne jo karna tha kiya lekin sitam ye hai
mere dil ko yaqin tha ki koi gham-khwar bolega

kahani zindagi ki ek dariya ki haqiqat hai
kinare kuchh nahin kahte magar majdhaar bolega

chhupae lakh tu is ko hai aisi raushni ye to
teri aankhon se chamkegi tera inkar bolega

nahin bolenge hum lekin hamari baat bolegi
jise hai bolne ki lat wahi har bar bolega

pata sab ko hai lachaari gharibi ka muqaddar hai
sawere dekhna kya kya magar akhbar bolega

hai gul ka kya hain is ke to thikane sau 'salil' sahab
kabhi gar aanch aai to chaman ka khar bolega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close