baat dil ki koi an-kahi rah gai honth chup aur nazar ye jhuki rah gai khat ka har harf hum ne jalaya magar lafz-dar-lafz wabastagi rah gai tha charaghon sa raushan kabhi ghar mera sath chhuta to bas tirgi rah gai dastan gham ki shair bayan kar gaya lafz ki dekh jadugari rah gai umr bhar mashghala jis ko hum ne kaha band safhon mein wo shairi rah gai bhigi in palkon se ye bayan ho gaya koi khwahish kahin ek dabi rah gai yun to hasil jahan mein hua sab magar ye kitab-e-tamanna khuli rah gai ek main ek tum aur zamana ye ek roz diwar koi khadi rah gai