palkon pe le ke bojh kahan tak phira karun ai khwab-e-raegan main bata tera kya karun wo hai ba-zid usi pe ki main iltija karun kuchh to bata ai meri ana ab main kya karun pane ki jidd-o-johd mein umren guzar gain ek bar tujh ko khone ka bhi hausla karun har aane wala bazm mein teri hai mohtaram tazim ko main sab ki kahan tak utha karun har ek waraq hai tujh se shurua is kitab ka tu hi bata kahan se main ab ibtida karun hai zer-e-ghaur apni hi chahat ka ehtisab teri wafa pe kya main abhi tabsira karun